Nasir Kazmi

nae kapDe badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liye

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
na.e kapḌe badal kar jā.ūñ kahāñ aur baal banā.ūñ kis ke liye
vo shaḳhs to shahr hī chhoḌ gayā maiñ bāhar jā.ūñ kis ke liye
jis dhuup kī dil meñ ThanDak thī vo dhuup usī ke saath ga.ī
in jaltī baltī galiyoñ meñ ab ḳhaak uḌā.ūñ kis ke liye
vo shahr meñ thā to us ke liye auroñ se bhī milnā paḌtā thā
ab aise-vaise logoñ ke maiñ naaz uThā.ūñ kis ke liye
ab shahr meñ us kā badal hī nahīñ koī vaisā jān-e-ġhazal hī nahīñ
aivān-e-ġhazal meñ lafzoñ ke gul-dān sajā.ūñ kis ke liye
muddat se koī aayā na gayā sunsān paḌī hai ghar kī fazā
in ḳhālī kamroñ meñ 'nāsir' ab sham.a jalā.ūñ kis ke liye
Top Urdushayar.com