Nasir Kazmi

hoti hai tere nam se wahshat kabhi kabhi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
hotī hai tere naam se vahshat kabhī kabhī
barham huī hai yuuñ bhī tabī.at kabhī kabhī
ai dil kise nasīb ye taufīq-e-iztirāb
miltī hai zindagī meñ ye rāhat kabhī kabhī
tere karam se ai alam-e-husn-āfrīñ
dil ban gayā hai dost kī ḳhalvat kabhī kabhī
josh-e-junūñ meñ dard kī tuġhyāniyoñ ke saath
ashkoñ meñ Dhal ga.ī tirī sūrat kabhī kabhī
tere qarīb rah ke bhī dil mutma.in na thā
guzrī hai mujh pe ye bhī qayāmat kabhī kabhī
kuchh apnā hosh thā na tumhārā ḳhayāl thā
yuuñ bhī guzar ga.ī shab-e-furqat kabhī kabhī
ai dost ham ne tark-e-mohabbat ke bāvajūd
mahsūs kī hai terī zarūrat kabhī kabhī
Top Urdushayar.com