Nasir Kazmi

shahr sunsan hai kidhar jaen

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972

shahr sunsān hai kidhar jaa.eñ

ḳhaak ho kar kahīñ bikhar jaa.eñ

raat kitnī guzar ga.ī lekin

itnī himmat nahīñ ki ghar jaa.eñ

yuuñ tire dhyān se laraztā huuñ

jaise patte havā se Dar jaa.eñ

un ujāloñ dhun meñ phirtā huuñ

chhab dikhāte jo guzar jaa.eñ

rain añdherī hai aur kināra duur

chāñd nikle to paar utar jaa.eñ

Top Urdushayar.com