ḳhamoshī uñgliyāñ chaTḳhā rahī hai
tirī āvāz ab tak aa rahī hai
dil-e-vahshī liye jaatā hai lekin
havā zanjīr sī pahnā rahī hai
tire shahr-e-tarab kī raunaqoñ meñ
tabī.at aur bhī ghabrā rahī hai
karam ai sarsar-e-ālām-e-daurāñ
diloñ kī aag bujhtī jā rahī hai
kaḌe kosoñ ke sannāTe haiñ lekin
tirī āvāz ab tak aa rahī hai
tanāb-e-ḳhema-e-gul thaam 'nāsir'
koī āñdhī ufuq se aa rahī hai