Nasir Kazmi

KHayal-e-tark-e-tamanna na kar sake tu bhi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ḳhayāl-e-tark-e-tamannā na kar sake tū bhī
udāsiyoñ kā mudāvā na kar sake tū bhī
kabhī vo vaqt bhī aa.e ki koī lamha-e-aish
mire baġhair gavārā na kar sake tū bhī
ḳhudā vo din na dikhā.e tujhe ki merī tarah
mirī vafā pe bharosā na kar sake tū bhī
maiñ apnā uqda-e-dil tujh ko sauñp detā huuñ
baḌā mazā ho agar vā na kar sake tū bhī
tujhe ye ġham ki mirī zindagī kā kyā hogā
mujhe ye zid ki mudāvā na kar sake tū bhī
na kar ḳhayāl-e-talāfī ki merā zaḳhm-e-vafā
vo zaḳhm hai jise achchhā na kar sake tū bhī
Top Urdushayar.com