galī galī ābād thī jin se kahāñ ga.e vo log
dillī ab ke aisī ujḌī ghar ghar phailā sog
saarā saarā din galiyoñ meñ phirte haiñ bekār
rātoñ uTh uTh kar rote haiñ is nagrī ke log
sahme sahme se baiThe haiñ raagī aur fankār
bhor bha.e ab in galiyoñ meñ kaun sunā.e jog
jab tak ham masrūf rahe ye duniyā thī sunsān
din Dhalte hī dhyān meñ aa.e kaise kaise log
'nāsir' ham ko raat milā thā tanhā aur udaas
vahī purānī bāteñ us kī vahī purānā rog