maiñ jab tere ghar pahuñchā thā
tū kahīñ bāhar gayā huā thā
tere ghar ke darvāze par
sūraj nañge paañv khaḌā thā
dīvāroñ se aañch aatī thī
maTkoñ meñ paanī jaltā thā
tere āñgan ke pichhvāḌe
sabz daraḳhtoñ kā ramnā thā
ek taraf kuchh kachche ghar the
ek taraf naala chaltā thā
ik bhūle hue des kā sapnā
āñkhoñ meñ ghultā jaatā thā
āñgan kī dīvār kā saaya
chādar ban kar phail gayā thā
terī aahaT sunte hī maiñ
kachchī niiñd se chauñk uThā thā
kitnī pyaar bharī narmī se
tū ne darvāza kholā thā
maiñ aur tū jab ghar se chale the
mausam kitnā badal gayā thā
laal khujūroñ kī chhatrī par
sabz kabūtar bol rahā thā
duur ke peḌ kā jaltā saaya
ham donoñ ko dekh rahā thā