Nasir Kazmi

is duniya mein apna kya hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
is duniyā meñ apnā kyā hai
kahne ko sab kuchh apnā hai
yuuñ to shabnam bhī hai dariyā
yuuñ to dariyā bhī pyāsā hai
yuuñ to hiirā bhī hai kañkar
yuuñ to miTTī bhī sonā hai
muñh dekhe kī bāteñ haiñ sab
kis ne kis ko yaad kiyā hai
tere saath ga.ī vo raunaq
ab is shahr meñ kyā rakkhā hai
baat na kar sūrat to dikhā de
terā is meñ kyā jaatā hai
dhyān ke ātish-dān meñ 'nāsir'
bujhe dinoñ kā Dher paḌā hai
Top Urdushayar.com