Nasir Kazmi

thoDi der ko ji bahla tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
thoḌī der ko jī bahlā thā
phir tirī yaad ne gher liyā thā
yaad aa.ī vo pahlī bārish
jab tujhe ek nazar dekhā thā
hare gilās meñ chāñd ke TukḌe
laal surāhī meñ sonā thā
chāñd ke dil meñ jaltā sūraj
phuul ke siine meñ kāñTā thā
kāġhaz ke dil meñ chiñgārī
ḳhas kī zabāñ par añgāra thā
dil kī sūrat kā ik pattā
terī hathelī par rakkhā thā
shaam to jaise ḳhvāb meñ guzrī
aadhī raat nasha TuuTā thā
shahr se duur hare jañgal meñ
bārish ne hameñ gher liyā thā
sub.h huī to sab se pahle
maiñ ne terā muñh dekhā thā
der ke ba.ad mire āñgan meñ
surḳh anaar kā phuul khilā thā
der ke murjhā.e peḌoñ ko
ḳhushbū ne ābād kiyā thā
shaam kī gahrī ūñchā.ī se
ham ne dariyā ko dekhā thā
yaad aa.iiñ kuchh aisī bāteñ
maiñ jinheñ kab kā bhuul chukā thā
Top Urdushayar.com