Aagha Akbarabadi

jite-ji ke aashna hain phir kisi ka kaun hai

Aagha Akbarabadi

jīte-jī ke āshnā haiñ phir kisī kā kaun hai
naam ke apne huā karte haiñ apnā kaun hai
jān-e-jāñ tere sivā rashk-e-masīhā kaun hai
maar kar Thokar jilā de mujh ko aisā kaun hai
ye siyah ḳhema hai kis kā is meñ lailā kaun hai
chamber-e-aflāk ke parde meñ baiThā kaun hai
ham na kahte the ki saudā zulf kā achchhā nahīñ
dekhiye to ab sar-e-bāzār rusvā kaun hai
vo to hai be-nūr aur ye nuur se ma.amūr hai
chashm ko nargis kahegā aisā andhā kaun hai
dam-ba-dam har baat meñ karte ho ThanDī garmiyāñ
aap kī ukhḌī huī bātoñ pe jamtā kaun hai
vādi-e-vahshat meñ bhī ham-rāh haiñ āh-o-fuġhāñ
apne hamdam saath haiñ ai jaan tanhā kaun hai
ḳhair hai ai mehrbāñ kis ne unheñ sīdhā kyā
aap kyuuñ bal karte haiñ zulfoñ se uljhā kaun hai
duḳhtar-e-raz sach batā terī nazar kis par paḌī
TaTTiyoñ kī aaḌ meñ se kis ko taakā kaun hai
aaj maqtal meñ khaḌe kahte haiñ vo ḳhanjar-ba-kaf
bol uThe chāhne vaalā hamārā kaun hai
chaar din jo kuchh tamāshā dekhnā hai dekh le
sair ko phir gulshan-e-duniyā meñ aatā kaun hai
bāñdh kar teġh o kafan jaate haiñ us qātil ke paas
ham bhī dekheñ rokne vaalā hamārā kaun hai
kyā tajāhul hai ki vo farmāte haiñ aġhyār se
maiñ nahīñ pahchāntā mutlaq ki 'āġhā' kaun hai
Top Urdushayar.com