is se pahle ki bichhaḌ jaa.eñ ham
do-qadam aur mire saath chalo
abhī dekhā nahīñ jī-bhar ke tumheñ
abhī kuchh der mire paas raho
mujh sā phir koī na aa.egā yahāñ
rok lo mujh ko agar rok sako
yuuñ na guzregī shab-e-ġham 'nāsir'
us kī āñkhoñ kī kahānī chheḌo