Nasir Kazmi

niyyat-e-shauq bhar na jae kahin

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
niyyat-e-shauq bhar na jaa.e kahīñ
tū bhī dil se utar na jaa.e kahīñ
aaj dekhā hai tujh ko der ke ba.ad
aaj kā din guzar na jaa.e kahīñ
na milā kar udaas logoñ se
husn terā bikhar na jaa.e kahīñ
aarzū hai ki tū yahāñ aa.e
aur phir umr bhar na jaa.e kahīñ
jī jalātā huuñ aur sochtā huuñ
rā.egāñ ye hunar na jaa.e kahīñ
aao kuchh der ro hī leñ 'nāsir'
phir ye dariyā utar na jaa.e kahīñ
Top Urdushayar.com