Nasir Kazmi

tere KHayal se lo de uThi hai tanhai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
tire ḳhayāl se lo de uThī hai tanhā.ī
shab-e-firāq hai yā terī jalva-ārā.ī
tū kis ḳhayāl meñ hai manziloñ ke shaidā.ī
unheñ bhī dekh jinheñ rāste meñ niiñd aa.ī
pukār ai jars-e-kārvān-e-sub.h-e-tarb
bhaTak rahe haiñ añdheroñ meñ tere saudā.ī
Thahar ga.e haiñ sar-e-rāh ḳhaak uḌāne ko
musāfiroñ ko na chheḌ ai havā-e-sahrā.ī
rah-e-hayāt meñ kuchh marhale to dekh liye
ye aur baat tirī aarzū na raas aa.ī
ye sāneha bhī mohabbat meñ bār-hā guzrā
ki us ne haal bhī pūchhā to aañkh bhar aa.ī
dil-e-fasurda meñ phir dhaḌkanoñ kā shor uThā
ye baiThe baiThe mujhe kin dinoñ kī yaad aa.ī
maiñ sote sote ka.ī baar chauñk chauñk paḌā
tamām raat tire pahluoñ se aañch aa.ī
jahāñ bhī thā koī fitna taḌap ke jaag uThā
tamām hosh thī mastī meñ terī añgḌā.ī
khulī jo aañkh to kuchh aur hī samāñ dekhā
vo log the na vo jalse na shahr-e-rānā.ī
vo tāb-e-dard vo saudā-e-intizār kahāñ
unhī ke saath ga.ī tāqat-e-shakebā.ī
phir us kī yaad meñ dil be-qarār hai 'nāsir'
bichhaḌ ke jis se huī shahr shahr rusvā.ī
Top Urdushayar.com