musalsal bekalī dil ko rahī hai
magar jiine kī sūrat to rahī hai
maiñ kyuuñ phirtā huuñ tanhā maarā maarā
ye bastī chain se kyuuñ so rahī hai
chale dil se ummīdoñ ke musāfir
ye nagrī aaj ḳhālī ho rahī hai
na samjho tum ise shor-e-bahārāñ
ḳhizāñ pattoñ meñ chhup kar ro rahī hai
hamāre ghar kī dīvāroñ pe 'nāsir'
udāsī baal khole so rahī hai