vo dil-navāz hai lekin nazar-shanās nahīñ
mirā ilaaj mire chāra-gar ke paas nahīñ
taḌap rahe haiñ zabāñ par ka.ī savāl magar
mire liye koī shāyān-e-iltimās nahīñ
tire jilau meñ bhī dil kaañp kaañp uThtā hai
mire mizāj ko āsūdgī bhī raas nahīñ
kabhī kabhī jo tire qurb meñ guzāre the
ab un dinoñ kā tasavvur bhī mere paas nahīñ
guzar rahe haiñ ajab marhaloñ se dīda-o-dil
sahar kī aas to hai zindagī kī aas nahīñ
mujhe ye Dar hai tirī aarzū na miT jaa.e
bahut dinoñ se tabī.at mirī udaas nahīñ