Nasir Kazmi

mujhko aur kahin jaana tha

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
mujh ko aur kahīñ jaanā thā
bas yūñhī rastā bhuul gayā thā
dekh ke tere des kī rachnā
maiñ ne safar mauqūf kiyā thā
kaisī añdherī shaam thī us din
bādal bhī ghar kar chhāyā thā
raat kī tūfānī bārish meñ
tū mujh se milne aayā thā
māthe par būñdoñ ke motī
āñkhoñ meñ kājal hañstā thā
chāñdī kā ik phuul gale meñ
haath meñ bādal kā TukḌā thā
bhīge kapḌe kī lahroñ meñ
kundan sonā damak rahā thā
sabz pahāḌī ke dāman meñ
us din kitnā hañgāma thā
bārish kī tirchhī galiyoñ meñ
koī charāġh liye phirtā thā
bhīgī bhīgī ḳhāmoshī meñ
maiñ tire ghar tak saath gayā thā
ek tavīl safar kā jhoñkā
mujh ko duur liye jaatā thā
Top Urdushayar.com