maiñ huuñ raat kā ek bajā hai
ḳhālī rasta bol rahā hai
aaj to yuuñ ḳhāmosh hai duniyā
jaise kuchh hone vaalā hai
kaisī añdherī raat hai dekho
apne aap se Dar lagtā hai
aaj to shahr kī ravish ravish par
pattoñ kā mela sā lagā hai
aao ghaas pe sabhā jamā.eñ
mai-ḳhāna to band paḌā hai
phuul to saare jhaḌ ga.e lekin
terī yaad kā zaḳhm harā hai
tū ne jitnā pyaar kiyā thā
dukh bhī mujhe utnā hī diyā hai
ye bhī hai ek tarah kī mohabbat
maiñ tujh se tū mujh se judā hai
ye tirī manzil vo mirā rasta
terā merā saath hī kyā hai
maiñ ne to ik baat kahī thī
kyā tū sach-much ruuTh gayā hai
aisā gāhak kaun hai jis ne
sukh de kar dukh mol liyā hai
terā rasta takte takte
khet gagan kā suukh chalā hai
khiḌkī khol ke dekh to bāhar
der se koī shaḳhs khaḌā hai
saarī bastī so ga.ī 'nāsir'
tū ab tak kyuuñ jaag rahā hai