dil meñ tire ai nigār kyā hai
hotā nahīñ ham-kanār kyā hai
aayā jo dam vo hai ġhanīmat
is ziist kā e'tibār kyā hai
haiñ seb se bhī vo chhātiyāñ saḳht
aage un ke anaar kyā hai
duniyā ke ye sab Dhakosle haiñ
turbat kaisī mazār kyā hai
tā.ūs se chheḌ-chhāḌ kaisī
haañ ai dil-e-dāġh-dār kyā hai
jo jo vo rañj deñ uThāo
jab dil hī diyā to aar kyā hai
maiñ chāhtā huuñ use na chāhūñ
dil par mirā iḳhtiyār kyā hai
mizhgāñ kā hai mire dil meñ khaTkā
ai ḳhushbū-e-nok-e-ḳhār kyā hai
miTTī mirī ḳhaak meñ milā.ī
mujh se un ko ġhubār kyā hai
dauḌūñ to mujhe sabā na paa.e
paidal kaisā savār kyā hai
bose kī talab ki vasl kā zikr
farmā.iye nāgavār kyā hai
hai kyā 'āġhā' taḌap rahā hai
kyuuñ kahte ho baar baar kyā hai