safar-e-manzil-e-shab yaad nahīñ
log ruḳhsat hue kab yaad nahīñ
avvalīñ qurb kī sarshārī meñ
kitne armāñ the jo ab yaad nahīñ
dil meñ har vaqt chubhan rahtī thī
thī mujhe kis kī talab yaad nahīñ
vo sitārā thī ki shabnam thī ki phuul
ek sūrat thī ajab yaad nahīñ
kaisī vīrāñ hai guzar-gāh-e-ḳhayāl
jab se vo aariz o lab yaad nahīñ
bhūlte jaate haiñ maazī ke dayār
yaad aa.eñ bhī to sab yaad nahīñ
aisā uljhā huuñ ġham-e-duniyā meñ
ek bhī ḳhvāb-e-tarab yaad nahīñ
rishta-e-jāñ thā kabhī jis kā ḳhayāl
us kī sūrat bhī to ab yaad nahīñ
ye haqīqat hai ki ahbāb ko ham
yaad hī kab the jo ab yaad nahīñ
yaad hai sair-e-charāġhāñ 'nāsir'
dil ke bujhne kā sabab yaad nahīñ