Nasir Kazmi

koi aur hai nahin to nahin mere ru-ba-ru koi aur hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
koī aur hai nahīñ to nahīñ mire rū-ba-rū koī aur hai
baḌī der maiñ tujhe dekh kar ye lagā ki tū koī aur hai
ye gunāhgāroñ kī sar-zamīñ hai bahisht se bhī sivā hasīñ
magar is dayār kī ḳhaak meñ sabab-e-numū koī aur hai
jise DhūñDhtā huuñ galī galī vo hai mere jaisā hī aadmī
magar aadmī ke libās meñ vo farishta-ḳhū koī aur hai
koī aur shai hai vo be-ḳhabar jo sharāb se bhī hai tez-tar
mirā mai-kada kahīñ aur hai mirā ham subū koī aur hai
Top Urdushayar.com