jabīñ pe dhuup sī āñkhoñ meñ kuchh hayā sī hai
tū ajnabī hai magar shakl āshnā sī hai
ḳhayāl hī nahīñ aatā kisī musībat kā
tire ḳhayāl meñ har baat ġham-rubā sī hai
jahāñ meñ yuuñ to kise chain hai magar pyāre
ye tere phuul se chehre pe kyuuñ udāsī hai
dil-e-gamīñ se bhī jalte haiñ shādmān-e-hayāt
usī charāġh kī ab shahr meñ havā sī hai
hamīñ se aañkh churātā hai us kā har zarra
magar ye ḳhaak hamāre hī ḳhuuñ kī pyāsī hai
udaas phirtā huuñ maiñ jis kī dhun meñ barsoñ se
yūñhī sī hai vo ḳhushī baat vo zarā sī hai
chahakte bolte shahroñ ko kyā huā 'nāsir'
ki din ko bhī mire ghar meñ vahī udāsī hai