kārvāñ sust rāhbar ḳhāmosh
kaise guzregā ye safar ḳhāmosh
tujhe kahnā hai kuchh magar ḳhāmosh
dekh aur dekh kar guzar ḳhāmosh
yuuñ tire rāste meñ baiThā huuñ
jaise ik sham-e-rahguzar ḳhāmosh
tū jahāñ ek baar aayā thā
ek muddat se hai vo ghar ḳhāmosh
us galī ke guzarne vāloñ ko
takte rahte haiñ bām-o-dar ḳhāmosh
uTh ga.e kaise kaise pyāre log
ho ga.e kaise kaise ghar ḳhāmosh
ye zamīñ kis ke intizār meñ hai
kyā ḳhabar kyuuñ hai ye nagar ḳhāmosh
shahr sotā hai raat jaatī hai
koī tūfāñ hai parda-dar ḳhāmosh
ab ke beḌā guzar gayā to kyā
haiñ abhī kitne hī bhañvar ḳhāmosh
chaḌhte dariyā kā Dar nahīñ yaaro
maiñ huuñ sāhil ko dekh kar ḳhāmosh
abhī vo qāfile nahīñ aa.e
abhī baiTheñ na ham-safar ḳhāmosh
har-nafas ik payām thā 'nāsir'
ham hī baiThe rahe magar ḳhāmosh