Nasir Kazmi

aaj to be-sabab udas hai ji

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
aaj to be-sabab udaas hai jī
ishq hotā to koī baat bhī thī
jaltā phirtā huuñ maiñ dopahroñ meñ
jaane kyā chiiz kho ga.ī merī
vahīñ phirtā huuñ maiñ bhī ḳhāk-basar
is bhare shahr meñ hai ek galī
chhuptā phirtā hai ishq duniyā se
phailtī jā rahī hai rusvā.ī
ham-nashīñ kyā kahūñ ki vo kyā hai
chhoḌ ye baat niiñd uḌne lagī
aaj to vo bhī kuchh ḳhamosh sā thā
maiñ ne bhī us se koī baat na kī
ek dam us ke hoñT chuum liye
ye mujhe baiThe baiThe kyā sūjhī
ek dam us kā haath chhoḌ diyā
jaane kyā baat darmiyāñ aa.ī
tū jo itnā udaas hai 'nāsir'
tujhe kyā ho gayā batā to sahī
Top Urdushayar.com