Aagha Akbarabadi

panw phir howenge aur dasht-e-mughilan hoga

Aagha Akbarabadi

paañv phir hoveñge aur dasht-e-muġhīlāñ hogā
haath phir hoveñge aur apnā garebāñ hogā
dil-e-vahshī tū na kar ishq pareshāñ hogā
misl ā.īna ke phir shashdar-o-hairāñ hogā
gar yahī ishq kā āġhāz hai to sun lenā
laash hovegī mirī kūcha-e-jānāñ hogā
Duub kar marne kā shauq us se hī pūchh ai qātil
jis ne dekhā ye tirā chāh-e-zanaḳhdāñ hogā
kahtī thī daam meñ sayyād ke ro kar bulbul
ab kabhī ham ko mayassar na gulistāñ hogā
jitne duniyā meñ sitam chāhe tū kar le mujh par
hashr meñ haath mirā terā garebāñ hogā
jaan de baiThegā ik roz tū us par 'āġhā'
vo nahīñ haal kā tere kabhī pursāñ hogā
Top Urdushayar.com