Nasir Kazmi

phul KHushbu se juda hai ab ke

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
phuul ḳhushbū se judā hai ab ke
yaaro ye kaisī havā hai ab ke
dost bichhḌe haiñ ka.ī baar magar
ye nayā daaġh khulā hai ab ke
pattiyāñ rotī haiñ sar pīTtī haiñ
qatl-e-gul aam huā hai ab ke
shafaqī ho ga.ī dīvār-e-ḳhayāl
kis qadar ḳhuun bahā hai ab ke
manzar-e-zaḳhm-e-vafā kis ko dikhā.eñ
shahr meñ qaht-e-vafā hai ab ke
vo to phir ġhair the lekin yaaro
kaam apnoñ se paḌā hai ab ke
kyā suneñ shor-e-bahārāñ 'nāsir'
ham ne kuchh aur sunā hai ab ke
Top Urdushayar.com