Nasir Kazmi

ye raat tumhaari hai chamakte raho taro

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ye raat tumhārī hai chamakte raho taaro
vo aa.eñ na aa.eñ magar ummīd na haaro
shāyad kisī manzil se koī qāfila aa.e
āshufta-saro sub.h talak yūñhī pukāro
din bhar to chale ab zarā dam le ke chaleñge
ai ham-safaro aaj yahīñ raat guzāro
ye ālam-e-vahshat hai to kuchh ho hī rahegā
manzil na sahī sar kisī dīvār se maaro
ojhal hue jaate haiñ nigāhoñ se do aalam
tum aaj kahāñ ho ġham-e-furqat ke sahāro
khoyā hai use jis kā badal koī nahīñ hai
ye baat magar kaun sune laakh pukāro
Top Urdushayar.com