ārā.ish-e-ḳhayāl bhī ho dil-kushā bhī ho
vo dard ab kahāñ jise jī chāhtā bhī ho
ye kyā ki roz ek sā ġham ek sī umiid
is ranj-e-be-ḳhumār kī ab intihā bhī ho
ye kyā ki ek taur se guzre tamām umr
jī chāhtā hai ab koī tere sivā bhī ho
TuuTe kabhī to ḳhvāb-e-shab-o-roz kā tilism
itne hujūm meñ koī chehra nayā bhī ho
dīvāngī-e-shauq ko ye dhun hai in dinoñ
ghar bhī ho aur be-dar-o-dīvār sā bhī ho
juz dil koī makān nahīñ dahr meñ jahāñ
rahzan kā ḳhauf bhī na rahe dar khulā bhī ho
har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht kā
lekin kise dikhā.ūñ koī dekhtā bhī ho
har shai pukārtī hai pas-e-parda-e-sukūt
lekin kise sunā.ūñ koī ham-navā bhī ho
fursat meñ sun shaguftagi-e-ġhunche kī sadā
ye vo suḳhan nahīñ jo kisī ne kahā bhī ho
baiThā hai ek shaḳhs mire paas der se
koī bhalā sā ho to hameñ dekhtā bhī ho
bazm-e-suḳhan bhī ho suḳhan-e-garm ke liye
tā.ūs boltā ho to jañgal harā bhī ho