ye shab ye ḳhayāl-o-ḳhvāb tere
kyā phuul khile haiñ muñh-añdhere
sho.ale meñ hai ek rañg terā
baaqī haiñ tamām rañg mere
āñkhoñ meñ chhupā.e phir rahā huuñ
yādoñ ke bujhe hue savere
dete haiñ surāġh fasl-e-gul kā
shāḳhoñ pe jale hue basere
manzil na milī to qāfiloñ ne
raste meñ jamā liye haiñ Dere
jañgal meñ huī hai shaam ham ko
bastī se chale the muñh-añdhere
rūdād-e-safar na chheḌ 'nāsir'
phir ashk na tham sakeñge mere