parde meñ har āvāz ke shāmil to vahī hai
ham laakh badal jaa.eñ magar dil to vahī hai
mauzū-e-suḳhan hai vahī afsāna-e-shīrīñ
mahfil ho koī raunaq-e-mahfil to vahī hai
mahsūs jo hotā hai dikhā.ī nahīñ detā
dil aur nazar meñ had-e-fāzil to vahī hai
har chand tire lutf se mahrūm nahīñ ham
lekin dil-e-betāb kī mushkil to vahī hai
girdāb se nikle bhī to jā.eñge kahāñ ham
Duubī thī jahāñ naav ye sāhil to vahī hai
luT jaate haiñ din ko bhī jahāñ qāfile vaale
hushiyār musāfir ki ye manzil to vahī hai
vo rañg vo āvāz vo saj aur vo sūrat
sach kahte ho tum pyaar ke qābil to vahī hai
sad-shukr ki is haal meñ jiite to haiñ 'nāsir'
hāsil na sahī kāvish-e-hāsil to vahī hai