Nasir Kazmi

kisi ka dard ho dil be-qarar apna hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
kisī kā dard ho dil be-qarār apnā hai
havā kahīñ kī ho siina figār apnā hai
ho koī fasl magar zaḳhm khul hī jaate haiñ
sadā-bahār dil-e-dāġh-dār apnā hai
balā se ham na piyeñ mai-kada to garm huā
ba-qadr-e-tishnagī ranj-e-ḳhumār apnā hai
jo shaad phirte the kal aaj chhup ke rote haiñ
hazār shukr ġham-e-pā.edār apnā hai
isī liye yahāñ kuchh log ham se jalte haiñ
ki jī jalāne meñ kyuuñ iḳhtiyār apnā hai
na tañg kar dil-e-mahzūñ ko ai ġham-e-duniyā
ḳhudā.ī-bhar meñ yahī ġham-gusār apnā hai
kahīñ milā to kisī din manā hī leñge use
vo zūd-ranj sahī phir bhī yaar apnā hai
vo koī apne sivā ho to us kā shikva karūñ
judā.ī apnī hai aur intizār apnā hai
na DhūñDh 'nāsir'-e-āshufta-hāl ko ghar meñ
vo bū-e-gul kī tarah be-qarār apnā hai
Top Urdushayar.com