Nasir Kazmi

dard kam hone laga aao ki kuchh raat kaTe

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
dard kam hone lagā aao ki kuchh raat kaTe
ġham kī mī.ād baḌhā jaao ki kuchh raat kaTe
hijr meñ āh-o-bukā rasm-e-kohan hai lekin
aaj ye rasm hī doharāo ki kuchh raat kaTe
yuuñ to tum raushnī-e-qalb-o-nazar ho lekin
aaj vo mo.ajiza dikhlāo ki kuchh raat kaTe
dil dukhātā hai vo mil kar bhī magar aaj kī raat
isī be-dard ko le aao ki kuchh raat kaTe
dam ghuTā jaatā hai afsurda-dilī se yaaro
koī afvāh hī phailāo ki kuchh raat kaTe
maiñ bhī be-kār huuñ aur tum bhī ho vīrān bahut
dosto aaj na ghar jaao ki kuchh raat kaTe
chhoḌ aa.e ho sar-e-shām use kyuuñ 'nāsir'
use phir ghar se balā laao ki kuchh raat kaTe
Top Urdushayar.com