daur-e-falak jab dohrātā hai mausam-e-gul kī rātoñ ko
kunj-e-qafas meñ sun lete haiñ bhūlī-bisrī bātoñ ko
reg-e-ravāñ kī narm tahoñ ko chheḌtī hai jab koī havā
suune sahrā chīḳh uThte haiñ aadhī aadhī rātoñ ko
ātish-e-ġham ke sail-e-ravāñ meñ nīndeñ jal kar raakh huiiñ
patthar ban kar dekh rahā huuñ aatī jaatī rātoñ ko
mai-ḳhāne kā afsurda māhaul to yūñhī rahnā hai
ḳhushk laboñ kī ḳhair manāo kuchh na kaho barsātoñ ko
'nāsir' mere muñh kī bāteñ yuuñ to sachche motī haiñ
lekin un kī bāteñ sun kar bhuul ga.e sab bātoñ ko