Nasir Kazmi

zaban suKHan ko suKHan bankpan ko tarsega

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
zabāñ suḳhan ko suḳhan bāñkpan ko tarsegā
suḳhan-kadā mirī tarz-e-suḳhan ko tarsegā
na.e piyāle sahī tere daur meñ saaqī
ye daur merī sharāb-e-kuhan ko tarsegā
mujhe to ḳhair vatan chhoḌ kar amaañ na milī
vatan bhī mujh se ġharīb-ul-vatan ko tarsegā
inhī ke dam se farozāñ haiñ millatoñ ke charāġh
zamāna soh.bat-e-arbāb-e-fan ko tarsegā
badal sako to badal do ye bāġhbāñ varna
ye baaġh sāya-e-sarv-o-saman ko tarsegā
havā-e-zulm yahī hai to dekhnā ik din
zamīn paanī ko sūraj kiran ko tarsegā
Top Urdushayar.com