hamāre sāmne kuchh zikr ġhairoñ kā agar hogā
bashar haiñ ham bhī sāhab dekhiye nāhaq kā shar hogā
na muḌ kar tū ne dekhā aur na maiñ taḌpā na ḳhanjar
na dil hovegā terā sā na merā sā jigar hogā
maiñ kuchh majnūñ nahīñ huuñ jo ki sahrā ko chalā jā.ūñ
tumhāre dar se sar phoḌūñgā saudā bhī agar hogā
chaman meñ laa.ī hogī to sabā-mashshātgī kar ke
jo gul se aage lipTā hai kisī bulbul kā par hogā
tarī kā bhī vahī mālik hai jo mālik hai ḳhushkī kā
madad-gār apnā har mushkil meñ shāh-e-bahr-o-bar hogā
tasavvur zulf kā gar chhoḌ duuñ mizhgāñ kā khaTkā hai
jo sar ke dard se fursat milī dard-e-jigar hogā
tabībo tum abas aa.e maiñ kushta huuñ firañgan kā
mirī tadbīr karne ko muqarrar doctor hogā
kisī ko koste kyuuñ ho duā apne liye māñgo
tumhārā fā.eda kyā hai jo dushman kā zarar hogā
mazā aa.egā dīvānoñ kī bātoñ meñ parī-zādo
jo 'āġhā' kā kisī din dasht-e-majnūñ meñ guzar hogā