Nasir Kazmi

gae dinon ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya wo

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ga.e dinoñ kā surāġh le kar kidhar se aayā kidhar gayā vo
ajiib mānūs ajnabī thā mujhe to hairān kar gayā vo
bas ek motī sī chhab dikhā kar bas ek mīThī sī dhun sunā kar
sitāra-e-shām ban ke aayā ba-rañg-e-ḳhvāb-e-sahar gayā vo
ḳhushī kī rut ho ki ġham kā mausam nazar use DhūñDtī hai har dam
vo bū-e-gul thā ki naġhma-e-jāñ mire to dil meñ utar gayā vo
na ab vo yādoñ kā chaḌhtā dariyā na fursatoñ kī udaas barkhā
yūñhī zarā sī kasak hai dil meñ jo zaḳhm gahrā thā bhar gayā vo
kuchh ab sambhalne lagī hai jaañ bhī badal chalā daur-e-āsmāñ bhī
jo raat bhārī thī Tal ga.ī hai jo din kaḌā thā guzar gayā vo
bas ek manzil hai bul-havas kī hazār raste haiñ ahl-e-dil ke
yahī to hai farq mujh meñ us meñ guzar gayā maiñ Thahar gayā vo
shikasta-pā raah meñ khaḌā huuñ ga.e dinoñ ko bulā rahā huuñ
jo qāfila merā ham-safar thā misāl-e-gard-e-safar gayā vo
mirā tū ḳhuuñ ho gayā hai paanī sitamgaroñ kī palak na bhīgī
jo naala uTThā thā raat dil se na jaane kyuuñ be-asar gayā vo
vo mai-kade ko jagāne vaalā vo raat kī niiñd uḌāne vaalā
ye aaj kyā us ke jī meñ aa.ī ki shaam hote hī ghar gayā vo
vo hijr kī raat kā sitāra vo ham-nafas ham-suḳhan hamārā
sadā rahe us kā naam pyārā sunā hai kal raat mar gayā vo
vo jis ke shāne pe haath rakh kar safar kiyā tū ne manziloñ kā
tirī galī se na jaane kyuuñ aaj sar jhukā.e guzar gayā vo
vo raat kā be-navā musāfir vo terā shā.ir vo terā 'nāsir'
tirī galī tak to ham ne dekhā thā phir na jaane kidhar gayā vo
Top Urdushayar.com