Nasir Kazmi

din Dhala raat phir aa gai so raho so raho

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
din Dhalā raat phir aa ga.ī so raho so raho
manziloñ chhā ga.ī ḳhāmushī so raho so raho
saarā din tapte sūraj kī garmī meñ jalte rahe
ThanDī ThanDī havā phir chalī so raho so raho
garm sunsān qariyoñ kī dhartī mahakne lagī
ḳhaak rashk-e-iram ban ga.ī so raho so raho
razm-gāh-e-jahāñ ban ga.ī jā-e-aman-o-amāñ
hai yahī vaqt kī rāgnī so raho so raho
kaise sunsān haiñ āsmāñ chup khaḌe haiñ makāñ
hai fazā ajnabī ajnabī so raho so raho
thak ga.e naaqa o sārbāñ tham ga.e kārvāñ
ghanTiyoñ kī sadā so ga.ī so raho so raho
chāñdnī aur dhueñ ke sivā duur tak kuchh nahīñ
so ga.ī shahr kī har galī so raho so raho
gardish-e-vaqt kī loriyāñ raat kī raat haiñ
phir kahāñ ye havā ye namī so raho so raho
saarī bastī ke log is madhur lai meñ kho.e ga.e
duur bajne lagī bāñsurī so raho so raho
duur shāḳhoñ ke jhurmuT meñ jugnū bhī gum ho ga.e
chāñd meñ so ga.ī chāñdnī so raho so raho
ghar ke dīvār-o-dar raah tak tak ke shal ho ga.e
ab na aa.egā shāyad koī so raho so raho
sust raftār taare bhī āñkheñ jhapakne lage
ġham ke maaro ghaḌī do ghaḌī so raho so raho
muñh-añdhere hī 'nāsir' kise DhūñDne chal diye
duur hai sub.h-e-raushan abhī so raho so raho
Top Urdushayar.com