Nasir Kazmi

gali gali meri yaad bichhi hai pyare rasta dekh ke chal

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
galī galī mirī yaad bichhī hai pyāre rasta dekh ke chal
mujh se itnī vahshat hai to merī hadoñ se duur nikal
ek samay tirā phuul sā nāzuk haath thā mere shānoñ par
ek ye vaqt ki maiñ tanhā aur dukh ke kāñToñ kā jañgal
yaad hai ab tak tujh se bichhaḌne kī vo añdherī shaam mujhe
tū ḳhāmosh khaḌā thā lekin bāteñ kartā thā kājal
maiñ to ek na.ī duniyā kī dhun meñ bhaTaktā phirtā huuñ
merī tujh se kaise nibhegī ek haiñ tere fikr o amal
merā muñh kyā dekh rahā hai dekh is kaalī raat ko dekh
maiñ vahī terā hamrāhī huuñ saath mire chalnā ho to chal
Top Urdushayar.com