Nasir Kazmi

kab talak muddaa kahe koi

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
kab talak mudda.ā kahe koī
na suno tum to kyā kahe koī
ġhairat-e-ishq ko qubūl nahīñ
ki tujhe bevafā kahe koī
minnat-e-nā-ḳhudā nahīñ manzūr
chāhe us ko ḳhudā kahe koī
har koī apne ġham meñ hai masrūf
kis ko dard-āshnā kahe koī
kaun achchhā hai is zamāne meñ
kyuuñ kisī ko burā kahe koī
koī to haq-shanās ho yārab
zulm ko nā-ravāñ kahe koī
vo na samjheñge in kināyoñ ko
jo kahe barmalā kahe koī
aarzū hai ki merā qissa-e-shauq
aaj mere sivā kahe koī
jī meñ aatā hai kuchh kahūñ 'nāsir'
kyā ḳhabar sun ke kyā kahe koī
Top Urdushayar.com