Nasir Kazmi

ab un se aur taqaza-e-baada kya karta

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
ab un se aur taqāzā-e-bāda kyā kartā
jo mil gayā hai maiñ us se ziyāda kyā kartā
bhalā huā ki tire rāste kī ḳhaak huā
maiñ ye tavīl safar pā-piyāda kyā kartā
musāfiroñ kī to ḳhair apnī apnī manzil thī
tirī galī ko na jaatā to jaada kyā kartā
tujhe to ghere hī rahte haiñ rañg rañg ke log
tire huzūr mirā harf-e-sāda kyā kartā
bas ek chehra kitābī nazar meñ hai 'nāsir'
kisī kitāb se maiñ istifāda kyā kartā
Top Urdushayar.com