Nasir Kazmi

fikr-e-tamir-e-ashiyan bhi hai

Nasir Kazmi

Ambala, Haryana, India

1923-1972
fikr-e-tāmīr-e-āshiyāñ bhī hai
ḳhauf-e-be-mehri-e-ḳhizāñ bhī hai
ḳhaak bhī uḌ rahī hai rastoñ meñ
āmad-e-sub.h kā samāñ bhī hai
rañg bhī uḌ rahā hai phūloñ kā
ġhunche ġhunche sharar-fishāñ bhī hai
os bhī hai kahīñ kahīñ larzāñ
bazm-e-anjum dhuāñ dhuāñ bhī hai
kuchh to mausam bhī hai ḳhayāl-añgez
kuchh tabī.at mirī ravāñ bhī hai
kuchh tirā husn bhī hai hosh-rubā
kuchh mirī shoḳhī-e-bayāñ bhī hai
har nafas shauq bhī hai manzil kā
har qadam yād-e-raftagāñ bhī hai
vaj.h-e-taskīñ bhī hai ḳhayāl us kā
had se baḌh jaa.e to girāñ bhī hai
zindagī jis ke dam se hai 'nāsir'
yaad us kī azāb-e-jāñ bhī hai
Top Urdushayar.com