Sajid Siddiqi lakhnavi

hijabaat uTh rahe hain darmiyan se

Sajid Siddiqi lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1930
hijābāt uTh rahe haiñ darmiyāñ se
zamīñ Takrā na jaa.e āsmāñ se
nikālā kis ḳhatā par gulsitāñ se
hameñ ye pūchhnā hai bāġhbāñ se
vahīñ jaanā hai aa.e haiñ jahāñ se
haiñ vāqif manzil-e-umr-e-ravāñ se
bahār aane kī māñgī thiiñ duā.eñ
bahār aa.ī magar bad-tar ḳhizāñ se
jo haiñ nā-āshnā-e-nazm-e-gulshan
unhīñ ko fā.ede haiñ gulistāñ se
abhī murda nahīñ zauq-e-asīrī
qafas kā sāmnā hai āshiyāñ se
jahāñ kāñToñ meñ uljhe apnā dāman
bayābāñ achchhā aise gulistāñ se
ġhamoñ hī se ḳhushī hotī hai paidā hai
bahāreñ bantī haiñ daur-e-ḳhizāñ se
sahārā luuñ agar dīvāngī kā
guzar jā.ūñ had-e-kaun-o-makāñ se
numāyāñ hai vahī raj.at-pasandī
nizām-e-zindagī badlā kahāñ se
lipaT jā.ūñgā maiñ dāman se un ke
sabaq sīkhā hai ḳhāk-e-āstāñ se
bhaTaktā phir rahā huuñ is tarah maiñ
ki jaise chhuT gayā huuñ kārvāñ se
chaman meñ phir banā.eñge nasheman
hameñ zid ho ga.ī hai āsmāñ se
vatan dushman inheñ kyuuñ kar na samjheñ
jinheñ hai dushmanī urdu zabāñ se
vahī hai bā.is-e-taklīf 'sājid'
milīñ thiiñ rāhateñ jis gulsitāñ se
Top Urdushayar.com