Sajid Siddiqi lakhnavi

jo mahw-e-haalat nahin hai

Sajid Siddiqi lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1930
jo mahv-e-hālāt nahīñ hai
aisī koī zaat nahīñ hai
tum ne milā kar pher liiñ nazreñ
jaao koī baat nahīñ hai
husn samajh le ishq kī manzil
itnī ma.alūmāt nahīñ hai
sūraj ubhre chāhe Duube
un ke jahāñ meñ raat nahīñ hai
mere hī dil ne mujh ko miTāyā
is meñ kisī kā haat nahīñ hai
bikhre hue haiñ un ke gesū
raat na kahiye raat nahīñ hai
kaliyāñ tak chun letā hai gulchīñ
āgāh-e-jazbāt nahīñ hai
ashkoñ pe mere hañsne vaale
phūloñ kī barsāt nahīñ hai
tark-e-vafā tauhīn-e-vafā hai
merī un kī baat nahīñ hai
bhiig chukā un kā phir dāman
aur abhī barsāt nahīñ hai
un se bichhaḌ kar bhī ḳhush ḳhush huuñ
jaise koī baat nahīñ hai
kaun sā merā ashk-e-nadāmat
ā.ina-e-jazbāt nahīñ hai
'sājid' ahl-e-dil ne batāyā
aam hamārī baat nahīñ hai
Top Urdushayar.com