Sajid Siddiqi lakhnavi

jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai

Sajid Siddiqi lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1930
jazba-e-ishq bhī hai garmī-e-bāzār bhī hai
husn-e-yūsuf kā magar koī ḳharīdār bhī hai
sho.ala-e-tūr bhī hai jalva-gah-bār bhī hai
dekhnā ye hai koī tālib-e-dīdār bhī hai
dil kā saudā mujhe manzūr hai lekin ai dost
merā ham-zauq bhī hai mūnis-o-ġham-ḳhvār bhī hai
kabhī badle hue tevar kabhī duzdīda nazar
ek hī vaqt meñ iqrār bhī inkār bhī hai
pur-ziyā bazm-e-masarrat hai ziyā-e-ġham se
jis jagah phuul mahaktā hai vahāñ ḳhaar bhī hai
chashm-e-sāqī kā na mai-ḳhvār sahārā DhūñDeñ
vo suḳhan-sāz bhī hai aur jafā-kār bhī hai
merī duniyā meñ vahī shām-o-sahar haiñ ab tak
zindagī talḳh bhī hai aur girāñ-bār bhī hai
dil hathelī pe liye sar ko jhukā.e rahnā
un kā manshā bhī hai āshiq ko sazā-vār bhī hai
jab ġham-e-dil ko masīhā kī zarūrat hī nahīñ
ab maiñ samjhā huuñ ye ik uqda-e-dushvār bhī hai
'sājid'-e-ḳhasta ko āġhosh-e-karam meñ le le
terā banda bhī hai aur terā gunahgār bhī hai
Top Urdushayar.com