Sajid Siddiqi lakhnavi

har shai ki aqidat se taswir nahin banti

Sajid Siddiqi lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1930
har shai kī aqīdat se tasvīr nahīñ bantī
har ḳhāk-e-qadam yaaro iksīr nahīñ bantī
jab vaqt bigaḌtā hai hotā hai jahāñ dushman
jab baat bigaḌtī hai tadbīr nahīñ bantī
hālāt jab insāñ ko dīvāna banāte haiñ
hālāt ke hāthoñ phir zanjīr nahīñ bantī
ḳhud jehd-e-musalsal se qismat ko sañvāro tum
auroñ ke banā.e se taqdīr nahīñ bantī
māñge hue sikkoñ kā me.aar nahīñ hotā
luuTī huī daulat se jāgīr nahīñ bantī
īsār batānā hai mehrāb-e-vafā aksar
īsār ke hāthoñ se shamshīr nahīñ bantī
ai shīsha-garoñ ab tak āḳhir ye kamī kyuuñ hai
ā.īna banāte ho tasvīr nahīñ bantī
iḳhlās ke sāñche meñ Dhaltā hai asar lekin
alfāz ke pahlū meñ tāsīr nahīñ bantī
qismat ke likhe meñ kyā tarmīm karūñ 'sājid'
majbūr huuñ is jaisī tahrīr nahīñ bantī
Top Urdushayar.com