Sajid Siddiqi lakhnavi

nahin hai aashiyan lekin hai KHak-e-ashiyan baqi

Sajid Siddiqi lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1930
nahīñ hai āshiyāñ lekin hai ḳhāk-e-āshiyāñ baaqī
zamāne meñ mohabbat kā abhī tak hai nishāñ baaqī
baḌī hasrat se merā tazkira karte haiñ vo aksar
hai mere ba.ad bhī sad-shukr merī dāstāñ baaqī
zamāna aisā kuchh badlā hai ham tīra-nasīboñ kā
na jaada hai na manzil aur na manzil kā nishāñ baaqī
chaman vāloñ kā ehsās-e-ġhulāmī jaag uTThā hai
nahīñ rah saktī ab to ye jafā-e-bāġhbāñ baaqī
nuqūsh-e-sajda ko mere hiqārat se na dekho tum
inhīñ sajdoñ kī tābish se hai husn-e-dāstāñ baaqī
sulūk aisā kiyā ai bāġhbāñ terī nigāhoñ ne
gulistāñ meñ nahīñ hai ab bahār-e-gulsitāñ baaqī
muḳhālif bāġhbāñ ho yā falak bezār ho ham se
rahegā hashr tak apnā chaman meñ āshiyāñ baaqī
gayā vo vaqt jab milte the aapas meñ mohabbat se
diloñ meñ ab se ai 'sājid' ḳhulūs-e-dil kahāñ baaqī
Top Urdushayar.com