shām-e-ġham kī sahar nahīñ hotī
aah bhī kārgar nahīñ hotī
jab uThāte haiñ vo naqāb-e-ruḳh
mere bas meñ nazar nahīñ hotī
mere zaḳhm-e-jigar ko vahshat meñ
hājat baḳhiya-gar nahīñ hotī
us se ummīd-e-rahm kyā karte
jis kī sīdhī nazar nahīñ hotī
kashmakash meñ huuñ maiñ masā.ib ke
zindagānī basar nahīñ hotī
aise aalam meñ dekhtā huuñ maiñ
jab kisī kī nazar nahīñ hotī
ġhair kī samt dekhne vaale
kyuuñ tavajjoh idhar nahīñ hotī
tuul khīñchā hai yuuñ shab-e-ġham ne
kisī sūrat sahar nahīñ hotī
dil churātī hai yuuñ nigāh-e-nāz
aur mujh ko ḳhabar nahīñ hotī
dil lagā kar sukūñ ġhalat 'sājid'
āshiqī chāragar nahīñ hotī