sub.h qayāmat aa.egī koī na kah sakā ki yuuñ
aa.e vo dar se nā-gahāñ khole hue qabā ki yuuñ
gauhar-e-nāb-sūda ko zulf meñ mat dikhā ki yuuñ
merī kamand-e-shauq meñ raat ke vaqt aa ki yuuñ
kyuuñ ki jhuke nasīm se soche thī nargis-e-chaman
dekh ke chashm-e-nāz ko aane lagī hayā ki yuuñ
chāhte the shuhūd meñ ġhaib kā rañg dekhnā
merī zi-ḳhvesh-e-raftagī ban ga.ī rahnumā ki yuuñ
sahv thī vaz-e-ḳhāstan bistar-e-aish-e-vasl se
dekh ke un kī shoḳhiyāñ fitna huā bapā ki yuuñ
dīda-e-ahl-e-ishq hai nūr-e-nigāh se tahī
aa.e vo farsh-e-nāz par chhoḌ ke kafsh-e-pā ki yuuñ
maiñ ne kahā kanār-e-nāz chāhiye is ġhamīñ se pur
sun ke raqīb-e-zisht ko paas biThā liyā ki yuuñ
sho.ala-e-rashk-e-ġhair se jal ke uThānā jaa.e thā
duur charāġh-e-bazm ne uTh ke batā diyā ki yuuñ
ḳhūn-e-shahīd-e-ishq vo kahte the faash kaise ho
rañg-e-gul-ezār se surḳh huī havā ki yuuñ
us kaf-e-pā ke bose kī kab mujhe raah yaad thī
badraqa-e-talab huī jur.at-e-sang-e-pā ki yuuñ
rizq nahīñ hai bin talāsh kahtī thī tangī-e-ma.āsh
gardish-e-sañg-e-āsiyā dene lagī sadā ki yuuñ
us ke ḳhirām-e-shauq se pis ga.ī ḳhalq kis ravish
miT ga.ī bād-e-tund se sūrat-e-naqsh-e-pā ki yuuñ
sa.ī-e-tarīq-e-shauq se fitne ko āgahī nahīñ
us kī jilau meñ dauḌe se saaya barhana-pā ki yuuñ
shab ko numū-e-rang se ḳhanda-e-gul kā zikr thā
nashv-o-numā-e-husn se TukḌe huī qabā ki yuuñ
nargis-e-mahvishāñ se pūchh gardish-e-āsmāñ se pūchh
surma hue vafā-sarisht kyā kaheñ ai ḳhudā ki yuuñ
sān-e-gulshan-e-iram maiñ ne kahā ki haa.e haa.e
dar pe us anjuman se duur qatl mujhe kiyā ki yuuñ
maiñ ne kahā nasīm se chaTke hai ġhuncha kis tarah
kunj-e-dahān-e-tañg se bose ne dī sadā ki yuuñ
reḳhta rashk-e-fārsī us se na ho sakā bayāñ
mahfil-e-urs-e-'mīr' meñ sher mire sunā ki yuuñ