Bayan Meeruti

badalne rang sikhlae jahan ko

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
badalne rañg sikhlā.e jahāñ ko
kahūñ kyā surma ko vasma ko paañ ko
diyā hai dīn-o-dil tāb-o-tavāñ ko
nigah ko zulf ko til ko dahāñ ko
kiyā phīkā mire rashk-e-chaman ne
saman ko yāsman ko arġhavāñ ko
mire ḳhuuñ ke nishāñ haiñ dho chuke sharm
jabīñ ko āstīñ ko āsmāñ ko
ḳhirām-e-mah-vishāñ chakkar meñ laa.e
zamāna ko zamīñ ko āsmāñ ko
tilism san.at bechūñ hai dekho
kafal ko saaq ko mū-e-miyāñ ko
lab-e-noshīñ ne sikhlā.ī halāvat
shakar ko shahd ko qand-e-kalāñ ko
kiyā rū-posh sharm-e-rū-e-but ne
jināñ ko chashma-e-haivāñ ko jaañ ko
kahāñ haiñ ahl-e-fan lā.ūñ kahāñ se
'nazīrī' ko 'zuhūrī' ko 'bayāñ' ko
Top Urdushayar.com