dil uchkegī ki bikhrī hai aḌī hai
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
chhupegā kab hamārā ḳhūn-e-nāhaq
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
kahīñ bād-e-sabā aage na dhar le
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
adū is resmāñ se sar na chaḌh jaa.e
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
kamand is ghaat se pheñkī hai kis par
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
kisī kā ḳhūn-e-nāhaq sar na ho jaa.e
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
jafā.eñ mū-ba-mū aatī haiñ aage
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
uḌāyā dil girah katregī kyā aur
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
ġhazab thā sāmnā tark-e-nazar kā
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
kisī kā ḳhuun gardan par na chaḌh jaa.e
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai
'bayāñ' kam thī hamārī tīra-baḳhtī
ye choTī kis liye pīchhe paḌī hai