Bayan Meeruti

ai junun hath ke chalte hi machal jaunga

Bayan Meeruti

Jhansi, Uttar pradesh, India

1840-1900
ai junūñ haath ke chalte hī machal jā.ūñgā
maiñ garebān se pahle hī nikal jā.ūñgā
vo haTe aañkh ke aage se to bas sūrat-e-aks
maiñ bhī us ā.ina-ḳhāne se nikal jā.ūñgā
mehr tum soḳhta maiñ shīsha-e-ātish hai raqīb
us pe Dāloge tajallī to maiñ jal jā.ūñgā
mujh se kahtā hai mirā dūd-e-jigar sūrat-e-sham.a
dil meñ rokoge to maiñ sar se nikal jā.ūñgā
sham.a-sāñ barsar-e-mahfil na jalā dekh mujhe
phail jā.ūñgā sitamgar jo pighal jā.ūñgā
Thahar ai mehr zarā sub.h-e-shab-e-vasl hai aaj
baam par dhuup chaḌhegī to maiñ Dhal jā.ūñgā
roktā huuñ kabhī shoḳhī se to har tifl-e-sarishk
ro ke kahtā hai abhī ghar se nikal jā.ūñgā
kār-e-imroz ba-fardā ma-guzār ai vaa.iz
aaj is kūche meñ huuñ ḳhuld meñ kal jā.ūñgā
kaun uThā.egā ilāhī shab-e-ġham kī uftād
muñh ko aatā hai kaleja ki nikal jā.ūñgā
le ke āñkhoñ meñ tirā jalva kahāñ jā.egā
ġhair ko dekh ke maiñ aañkh badal jā.ūñgā
har tarah haath meñ hoñ gosha-e-dāman kī tarah
vo sambhāleñge jo mujh ko to sambhal jā.ūñgā
Top Urdushayar.com